Friday, May 30, 2008

Dard-E-Ishq

ishq ki har dagar itni mushqil kyun hai?
woh jo dard leta tha kabhi, ab deta kyun hai?
jiske aane ka kabhi intezaar hua karta tha
ab uske jaane ka intezaar kyun hai?

woh jo kabhi pyara lagta tha
aaj dil mein chubhta kyun hai?
sang bitaya woh haseen waqt
aaj humare liye unchaahi yaadein kyun hain?

woh pehli mulaqat joh kabhi haseen manzar hua karta tha
ab ek daraavna khwaab kyun hai?
woh unka pyar se choona jo kabhi meetha ehsaas tha
aaj tezaab sa jalaata kyun hai?

woh sang sanjoye sapne
raat mein jagaate kyun hain?
mohabbat mein khaayi kasmein
aaj lagte zeher kyun hain?

mere aks mein unka wajood jo pehle mehsoos hota tha
woh ab khone laga kyun hai?
dil mein unki chaahat ka saagar
dheere dheere sukhne laga kyun hai?

aankhon mein jo unki tasveer joh barson se bani thi
ab dhundhli hone lagi kyun hai?
hothon ki laali bana hua tha kabhi jo ek naam
mita hua sa lagta kyun hai?

Saturday, May 24, 2008

Episode 2

woh samajhte hain hum unka dard nahi samajhte
bhul gaye woh ki mohabbat humne bhi ki hain!!!


hum har pal unke aane ka intezaar karte rahe
zindagi khatam ho gayi us pal ke intezaar mein!!!

har kali muskaaye ye jaruri toh nahi
har shama roshni de yeh jaruri toh nahi
har dua kabul ho yeh jaruri toh nahi
har ishq mukammal ho yeh jaruri toh nahi!!!

dil mehfil mein tanhaai mein sambhalta hain
nasha jaam se nahi aapki adaaon ko dekhkar chadta hain!!!

Monday, May 5, 2008

Sher - Episode 1

Ab aur kisise pyar na hoga,
Tumse hain pyar inkar bhi na hoga,
Hain jo pyar toh laut aao vapas
Aur ab tumhara intezar na hoga.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Katal karti hain unki har ek adaa
ab aur kitni jaanein bachi hain khuda???

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

lagne lagi hain tanhaiya pyari ab,
behte hain ashq aati hain yaad jab
zindagi bojh si lagne lagi hain
najane khatam hoga yeh safar kab???

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~