Kismet ka khel kitna ajeeb hota hain,
milta wahi hain jo naseeb mein hota hain,
kehne ko toh bahut kuch khota hain,
par bichudta wohi hain jo sabse kareeb hota hain!!!!!
naaraz hui zindagi humse kuch is kadar,
saahil pe hi aashiyana dhuan ho raha tha!!!
Sochte the yeh ashq bewafa hain jab saath na milta tha
jaante na the ki daaman chhota tha hamara!!!!
Saturday, July 26, 2008
Monday, July 14, 2008
Episode 7
Jee rahe hain hum sirf jeene ki khaatir,
teri bewafai ne toh hamein kabka maar daalaa..........
Saaya bhi ab paraaya sa lagata hain
to aur kisi ke apnane ki kyaa umeed........
Shiddat se tujhse mohabbat karte hain sanam,
le lena imtehaan dil chaahe jab.........

Monday, June 30, 2008
Episode 6
Zindagi ne Zindagi bhar gam diye,
tasvir di badi aur rang kam diye,
socha tha ishq ki parchhai sang chalegi,
par usne bhi saath sirf saat kadam diye!!!!!
Tinka tinka ho gaye hai armaan saare,
waqt ki dor chhoti pad gayi unhe pirone ke liye!!!
Gairon se kya gila kare jab apne hi apne na rahe
hamein dhoka bhi usise mila jisse zindagi mukammal thi!!!!!

Wednesday, June 18, 2008
Episode 5
Bikataa tha dard baazaar mein,toh hum bhi tamaashaa dekhte the
jab bane hain khud tamaashaa toh jaana dard kya hota hain !!!
Hothon pe nahi, aankhon mein bhi apna intezaar chaahate hain hum
dilbar ke dil mein nahi,uske dil mein bhi apna jagah chaahte hain hum
kaash woh samajh paate aarzoo is chhote se dil ki,
palbhar ka nahi, zindagi bhar ka saath jeena chaahate hain hum!!!
Ye shaam sajii hain merii hasaraton ko bechkar,
ashkon ki bolo kyaa keemat lagayi hain!!!!!

Wednesday, June 11, 2008
Episode 4
Dili jazbaton ne muskurana chhod diya
lafzon se dard jataana chhod diya
dil mein hasraton ne rehna chhod diya
hoon ek fard, ye ehsaas karna chhod diya...
Mohabbat mein tanha tab bhi the, Mohabbat mein tanha aaj bhi hai...
khaamiyaaza tab bhi chuka rahe the, khaamiyaaza aaj bhi chuka rahe hain...
Tujhse ye doorie har pal kehar dhaati hai .
kaash bebas na hote hum yahaan iss kadar..!
Itefaq nahin ki har baar raah mein unse mulakat ho jaaye,
kaash hum bhi musafir hote teri raah ke unki tarah...

Sunday, June 1, 2008
Episode 3
Mere ashko ki kadra unhekabhi na hui
dekhte unme apni tasveer toh shayad samajh paate!!!
Badi hasraton se sej sajaai thi armaano ki
kyun bewafai thi mere daaman mein likhi!!!
Hamaara haal pe khuda bhi ro pada tha
pachchtaaya kyun bande ko ishq karna sikhaaya!!!

Friday, May 30, 2008
Dard-E-Ishq
ishq ki har dagar itni mushqil kyun hai?
woh jo dard leta tha kabhi, ab deta kyun hai?
jiske aane ka kabhi intezaar hua karta tha
ab uske jaane ka intezaar kyun hai?
woh jo kabhi pyara lagta tha
aaj dil mein chubhta kyun hai?
sang bitaya woh haseen waqt
aaj humare liye unchaahi yaadein kyun hain?
woh pehli mulaqat joh kabhi haseen manzar hua karta tha
ab ek daraavna khwaab kyun hai?
woh unka pyar se choona jo kabhi meetha ehsaas tha
aaj tezaab sa jalaata kyun hai?
woh sang sanjoye sapne
raat mein jagaate kyun hain?
mohabbat mein khaayi kasmein
aaj lagte zeher kyun hain?
mere aks mein unka wajood jo pehle mehsoos hota tha
woh ab khone laga kyun hai?
dil mein unki chaahat ka saagar
dheere dheere sukhne laga kyun hai?
aankhon mein jo unki tasveer joh barson se bani thi
ab dhundhli hone lagi kyun hai?
hothon ki laali bana hua tha kabhi jo ek naam
mita hua sa lagta kyun hai?

Subscribe to:
Posts (Atom)